Suna Hai Log Usay Poetry In Urdu (Ahmad Faraz Ghazal )

 


Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain - Ahmad Faraz Popular Ghazal


Tags: Ghazal, Ahamad Faraz, popular Lines, Famous Shayari by faraz, Classic Ghazal, Beautiful Love Romantic shayri, sad 2 lines, Two,  Suna hay log usay




Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain - Ahmad Faraz Popular Ghazal Shayari - 2 lines




Urdu Poetry In Urdu Text


سنا ہے لوگ اُسے آنكھ بھر كے دیكھتے ہیں
تو اس کے شہر میں‌کچھ دن ٹھہر کے دیکھتے ہیں


سنا ہے ربط ہے اس کو خراب حالوں سے
سو اپنے آپ کو برباد کرکے دیکھتے ہیں


سنا ہے درد کی گاہک ہے چشمِ ناز اس کی
سو ہم بھی اس کی گلی سے گزر کے دیکھتے ہیں


سنا ہے اس کو بھی ہے شعر و شاعری سے شغف
تو ہم بھی معجزے اپنے ہنر کے دیکھتے ہیں


سنا ہے بولےتو باتوں سے پھول جھڑتے ہیں
یہ بات ہے تو چلو بات کر کے دیکھتے ہیں


سنا ہے رات اسے چاند تکتا رہتا ہے
ستارے بام فلک سے اتر کے دیکھتے ہیں


سنا ہے دن کو اسے تتلیاں ستاتی ہیں
سنا ہے رات کو جگنو ٹھہر کے دیکھتےہیں


سنا ہے حشر ہیں‌اس کی غزال سی آنکھیں
سنا ہے اس کو ہرن دشت بھر کے دیکھتے ہیں


سنا ہے اس کے بدن کی تراش ایسی ہے
کہ پھول اپنی قبائیں کتر کے دیکھتے ہیں


سنا ہے اس کے لبوں سے گلاب جلتے ہیں
سو ہم بہار پہ الزام دھر کےدیکھتے ہیں


سنا ہے اس کے شبستاں سے متصل ہے بہشت
مکیں‌ ادھر کے بھی جلوے اِدھر کے دیکھتے ہیں


رکے تو گردشیں اس کا طواف کرتی ہیں
چلے تو اس کو زمانے ٹھہر کے دیکھتے ہیں


کہانیاں ہی سہی ، سب مبالغے ہی سہی
اگر وہ خواب ہے تعبیر کرکے دیکھتے ہیں


اب اس کے شہر میں‌ٹھہریں کہ کوچ کر جائیں
فراز آؤ ستارے سفر کے دیکھتے ہیں‌‌


احمد فراز



 urdu Shayari in Roman / English Font


Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Us Ke Shahar Mein Kuch Din Thehar Ke Dekhte Hain


Suna Hai Rabt Hai Usko Kharaab Halon Se
So Apne Aap Ko Barbaad Karke Dekhte Hain


Suna Hai Dard Ki Ga-Hak Hai Chashm-E-Naaz Uski
So Ham Bhi Uski Gali Se Guzar Kar Dekhte Hain


Suna Hai Usko Bhi Hai Sheir-O-Shaeri Se Shaghaf
So Ham Bhi Moajze Apne Hunar Ke Dekhte Hain


Suna Hai Bole To Baton Se Phol Jharte Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain


Suna Hai Raat Use Chaand Taktaa Rehta Hai
Sitare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain


Suna Hai Din Ko Use Titliyaan Satati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehr Ke Dekhte Hain


Suna Hai Hashr Hain Uski Ghazal Si Aankhein
Suna Hai Usko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte Hain


Suna Hai Uski Siyah Chashmagi Qayamat Hai
So Usko Surma Farosh Aankh Bhar Ke Dekhte Hain


Suna Hai Uske Labon Se Gulab Jalte Hain
So Ham Bahaarh Pe Ilzaam Dhar Ke Dekhte Hain


Suna Hai Aaeinaa Tamasil Hai Jabin Uski
Jo Saadaa Dil Hai Use Ban-Sanwar Ke Dekhte Hain


Suna Hai Uske Badan Ke Taraash Aise Hain
Ke Phol Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain


Suna Hai Uski Shabistaan Se Mut-Tasil Hai Bahisht
Makeen Udhar Ke Bhi Jalve Idhar Ke Dekhte Hain


Ruke Toh Gardishein Uska Tawaaf Karti Hain
Chale To Usko Zamaane Thehr Ke Dekhte Hain


Kahaniyan He Sahi Sab Mubalghe He Sahi
Agar Woh Khawab Hai Tou Taabir Kar Ke Dekhte Hain


Ab Usake Shehar Mein Thehrein Ke Koch Kar Jaein
Faraz  Aao Sitare Safar Ke Dekhte Hain






********************************************************


Related Shayari Posts:











Post a Comment

0 Comments